Shashtro ke anusar chandra grahan ka SUTAK TIME 9 ghante pehle aur Surya grahan ka Sutak time 12 ghante pehle lagta hai.
aacharya Mukesh ji ne bataya ki 16 july ko 4:25 minut se Sutak samay start hoga jo 17 july subhah 4:40 minut par khatam hoga
Hindu dharm ki manyataon ke hisab se Sutak ke samay ko ashubh samay mana jata hai. Sutak chandra grahan khatam hone ke baad mandiro ko pavitra (saaaf) kiya jata hai .
chandra grahan ke sutak samay me mandiro me pooja-archana band ho jati hai. iss samay pooja karna Aashubh mana jata hai...
Badrinath kedaarnath dham me KAPAT mandir Samiti ke anusar 16 july ko dupahar 4:25 minut par band hona hai. kedarnath mandir me iske liye dupahar me 3:15 minut par Mangal Aarti hogi. 3:45 minut bhoj aur SHAYAN aarti hogi
SUTAK time me sabhi tarah ke darshan band rahenge. Wednesday 17 july ko raat 1:31 minut se subhah 4:31 minut tak 3 ghante ka CHANDRA GRAHAN hai.17 july ko subhah 4:40 baje badrinath DHAAM ki ghanti bajeh gi...
shubah 6 bajeh ABHISHEK POOJA hogi aur pooja lagatar chalti rahegi.
badrinath dhaam ke poojariyo ne bataya ki chandra kaal se 9 ghante pehle Sutak kaaal mana jata hai.chandra grahan me badrinath aur kedarnath dhaam me SUTAK ki wajeh se darwaja band aur khulne ki ek hi prakriya apnayi jayegi...17 july ko chandra grahan khatam hone ke baaad subhah badri-kedarnath ke darwaje logo ke liye kholen jayenge..sutak ki wajeh se badri-kedarnath mandir ki adheen aaane wale sabhi mandir band rahenge....
pregnant aurat par chandragrahan ka asar.
mana jata hai .....ki... kisi bhi grahan ka asar sabse jiyada pregnant women par hota hai kyonki , ,,,grahan ke samay vatawaran me negative power bahut jiyada hoti hai ..isi liye garbhvati mahila ko ghar ke bahar nahi nikalne ko bola jata hai...ghr ke bahar nikalna zaroori ho to garbh par chandan aur tulsi ki pattiyo ka lap laga le...is se grahan ka asar garbh me pal rahe bachche par nahi parega..
garbhvati aurat ,, grahan ke samay knife, blade, scissOrs jese katne wali kisi bhi cheez ko use nahi kare aur niddle (sooyi,dhaga) ka bhi use nahi karna hai..isse ka prabhav bachhe ke ango par parega...
chandragrahan ke samay BHAGWAN ke naaam lene ke alava doosra koyi kaaam nahi kare..
Grahan kaal ke samay rakhe ye Saavdhaniya......
Chandra Grahan ke samay duniya me bahut si aashudh aur hanikarak kirano ka prabhav rehta hai..issi liye neeche diya gayi baato ko nhi karna chahiye................
1. Chandragarahan k samay khaan-paaan nahi kare.
2.chandragrahan ke samay nahana nahi chahiye..jab grahan khatam ho jaye fir nahana chahiye..
3.chandragrahan ko khuli aankho se nahi dekhe..
4.chandragrahan ke samay guru pradutt mantra ka jaaaaap karen...
ATTENTION
Is Article मे दी गयीं जानकारी धार्मिक आस्थाऔ और लौकिक मान्यताओं पर आधारित है, जिसे केवल सामान्य जनरूचि को ध्यान मे रख कर लिखी गयीं है।